Friday, September 30, 2011

Do Lafz...5

Nahin bhar sakti agar ghaav, toh unhen kuredna chhor de…
Muje mazbooriyon ki chardiwari mein kaid karna chhor de…
Gar nahin bacha sakti iss dil ko tadapne se…
Toh jalaakar mere dil ko……..shmshaan banana chhor de…

Alvida toh yun keh gaye tum…jaise safar yahin tak tha…
Alvida toh yun keh gaye tum…jaise safar yahin tak tha…
Magar jaane se pehle fikr karne ka haq toh lauta diya hota…

Ae zaalim muje tu aur...bardaasht na kar…
Inkaar kar de yaa fir anjana ikraar na kar…
Kho jaane de muje teri saanson ki khushbuon mein,
Ho jaa tu bhi meri yaa fir…Intzaar naa kar…

Faaslon se ikraar karna nahin aata,
Muje door se pyaar karna nahin aata,
Bas kabhi-kabhi teri fikr kar lene diya kar,
Kisi aur bahaane se yeh zakhm…bharna nahin aata…

Iss barish mein tune…..daaman mere sar se……
…….hata liya toh kya…
Mere dil ko berahmi se…chura liya toh kya…
Jab bhi hogi meri zarurat…muje paayegi apne saath,
Tune mujse apna haath chhura liya toh kya…???

Sunday, September 25, 2011

Do Lafz...4

Lafzon se bayaan nahin kar pata,
Aankhon mein padh liya kar...
Meri zubaan...
Kya kahoon...
Meri zubaan kya btaegi "Haal-e-Dil"...
Meri zubaan kya btaegi "Haal-e-Dil"...
Jis Manzar ka ilm bas....
Bas khuda ko hai...


Tujse ab nazar mila nahin paata,
Meri tadaf ka yakin dila nahin paata,
Hua tujse ishq toh meri khataa na thi...
Hua tujse ishq toh meri khataa na thi,
Shayad khataa yeh hai ki main jataa nahin paata...


Na shabd tere paas hai,Na shabd mere paas hai,
Bezubaan khat bhi hain...aur unka rasta bhi bazubaan hai,
Nishabd iss paigaam ko ikraar samjhoon ya inkaar...
Bezubaan mere mann ko padhne wala bhi hai...


Mere falak ka sabse roshan sitara hai tu,
Hazaaron mein sabse khoobsoorat nazaara hai tu,
Iss anant samandar ke safar mein,
Meri naiya bhi tu.....mera kinara bhi tu...

Mujhe Ikraar karne de, Tu izhar karne de,
Badle mein kuch bhi na chahoon, Jee bhar ke pyar karne de...

Kash woh saari raat main tujkohansa pata,
Hai jo dil mein dabi ik baat...tujko bta pata,
thi jo hasrat baki hai abhi tak mere dil ki,
sar rakh deti tu mere kandhe pe aur main tujko sula pata...