Thursday, January 26, 2012

Ainvei...


Anjani si masti mein sara din nikal jata hai,
Advance with Aakash Bhaiya
Last hour mein assignment khud ban ke submit ho jata hai,
Kaunsa test kab tha…pta bhi nahin chal pata hai…
Aur semester ke end tak pointer Five point something reh jata hai…

Mess ka khana khake har koi pak jata hai,
Isiliye toh Andhra ka har bachha ‘Food Court’ mein khata hai,
Par ghar ka taaza ‘Makkhan’ khaane ke baad…
4H ka ‘Butter’ kisko bhata hai…

2nd year mein aate hi Junior Senior ban jata hai,
Senior bante hi janaab ka ATTITUDE change ho jata hai,
Apne har jangoo ko Don ban ke daraata hai…
Par apna Senior aate dekh Don, Vijay ban jata hai…

College mein jeene ka mazaa aa jata hai,
Friend circle ke saath dil khush ho jata hai,
Yun toh saara din masti mein nikal jaata hai…
Par Khan eke time…Ghar bahot yaad aata hai…

Chuttiyon mein toh har koi ghar chala jata hai,
Par gaanv mein toh DUST se Jukaam ho jata hai,
Baithe toh sab hote hain sham ko ek saath…
Par…DADA ki beedi ka dhunwa meri taraf hi kyun aata hai…

Friday, December 9, 2011

Piya Tere Rang Mein...


Yun toh khoob tadpti thi saajan main tujse milne ko,

Par jab us din suna ki kuch hi din hain
muje ab piya ke ghar jaane mein…

Toh ek pal ke liye toh main...uchhal padi
Aur agle hi pal sharm ke maare simat gayi…

Na jaane kyun muje thoda dar sa lagne laga…
Ki mera dupatta mere chehre ko dhakne laga…

Socha na tha aisa, par…

Tasweer se nazaren milaane mein muje,
Sharm si aa gai…
Kaise kehti ki mujhe teri duniya sapne mein hi bha gai…
 
Jab fir se dekha tujse kuch kehne ko…
Toh kuch bhi na keh paayi,
Bas muskuraate hue meri...Meri aankhen bhar aayi…