Saturday, May 7, 2011

Taza Khayaal..

Andhere ke beech neend mein Roshni,
Aur us par thodi si roshni…

Jagmagata ye mann,
Roshan jitna ujaalon mein na tha,
Iss raat ho raha hai…

Aankhen chakor ki jal-jal ke cheekh rahi hain,
Aaj jana neend ko bhi chura lete hain Log…

Dil mein ik maun goonz keh rahi hai,
Bhool ja saari mushkilen is kandhe par sar rakh ke,
Intzaar mein wahin rakha hai hath kar ke…

Dil ne kaha “O Chaand!”
Aa parakh le kaun adhik sundar hai,
Phir socha chaand ki pehchan bhi roshni se hi toh hai…

Ho jaane de ek,
Teri rooh ko meri rooh se mil jaane de,
Teri khushboo ye armaan jagaati hai reh-reh ke…

Daal de saari chintaayen mere daaman mein,
Aaj jee le,
Mukt ho ke apni har uljhan se…

Main intzaar main kada hoon,
Daal de saare gam mere daaman mein,
Kyon main tujhse ye keh nahin pata,
Aksar poochta hoon mere mann se…

Kal tak  ye aankhen kho gait hi jin kitaabon mein,
Pooch raha hoon unse,
Iss kitaab ko padhne ka raaz kya hai?
Inn alphazon ka aakhir andaaz kya hai?...

Mujhe aane de teri rooh mein teri rooh padh loonga,
Mujhe lagne de bhanak tera har gam main har loonga,
Hoon main mazboor O meri jaan main tujse keh nahin pata,
Hai mere dil mein jo sagar tujpe nisaar kar doonga…

Shurukarta hoon shayari, gazal who ban jati hai,
Main kahtm karna bhi na chahoon,khatm who ho na paati hai,
Too mere dil mein aake dekh,too kitna tadphati hai,
Main jo likhta hoon tera naam,kavita ban kyun jaati hai…

Hai mazboori mere nainon, ki main so nahi sakta,
Dil mein dard toh bahut hai,magar main ro nahi sakta,
Muje kho jana hai tere, vichaaron mein, sawalon mein,
Magar haalaat hain aise, sanam main kho nahi sakta…

Mera ik dost kehta hai,kyun too paagal banta hai,
Main kehta hoon kya marzi se, koi paagal banta hai,
O mere yaar ye baat, samjhaaun tujhe kaise,
Ashk aankhon se nikalta hai, kkahaan bante who dikhta hai…

No comments:

Post a Comment