Monday, May 9, 2011

Tera Ehsaas Kaafi Hai...


Jamana mujhe kehta hai, too mujko mil nahin paayi,
Mere jeene ke liye toh bas… tera ehsaas kaafi hai…

Main ab rehta nahin gumsum jab tujse mil nahin pata,
Mera ye mann khilane ko bas… tera deedaar kaafi hai…

Kahoon main kya O tujse jaan, kyun mujko neend na aaye,
Mujhe din-raat jagaane ko bas… teri muskaan kaafi hai…

Teri khilkhilati hui aankhon ki ik jhalak jo mil jaaye,
Mujhe sapnon mein le jaane ko bas… wo ehsaas kaafi hai…

Aaj iss sannate mein hai, nahin is dil mein koi halchal,
Dil mein gadar machaane ko bas… teri aawaaz kaafi hai…

Kabhi jo thak sa jata hoon, raahon mein chalte-chalte,
Mujmen toofaan lane ko bas…milne ki aas kaafi hai…

Kabhi ho mera jahan, khushbuon se jo begana,
Mera jeevan mehkaane ko bas… teri ik saans kaafi hai…

Kabhi jo ghir jaaun main, mushkilon ke andhere mein,
Wo mushkilen par karne mein bas… tere vichaar kaafi hain…

Yun to khoob chaahun sara jeevan, main tere saath bitaane ko,
Magar jeene ke liye to bas… teri ik yaad kaafi hai…

Lad jaaun har mushkil se, samandar paar  kar jaaun,
Mujhe paagal banaane ko bas… ik jhalak ki aas kaafi hai…

Yun to may ke pyaale se bhi, nasha nahin aata,
Mujhe mad-hosh karne ko bas… tera andaaz kaafi hai…

2 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. koi baat ni hai........gazal likhne ka adhikaar hamen b pradaan kiya gaya hai..........:)

    ReplyDelete